baat dil ko mere lagi nahin hai mere bhai ye shaeri nahin hai jaanti hai mere charagh ki lau kaun se ghar mein raushni nahin hai wo talluq bhi mustaqil nahin tha ye mohabbat bhi daimi nahin hai main jo qissa suna chuka to khula koi diwar bolti nahin hai dekhne wali aankh bhi to ho kaun dariya mein jal-pari nahin hai buzdila chhup ke war karta hai tujh ko tahzib-e-dushmani nahin hai kya karun is bahisht ko jis mein ek botal sharab ki nahin hai tujh se milna bhi hai nahin bhi mujhe aur tabiat ulajh rahi nahin hai kaun se shahr ke charagh ho tum tum mein dam bhar ki raushni nahin hai jis ka charcha hai shahr mein 'ami' wo ghazal to abhi kahi nahin hai