baat hoti hai pas-e-chakwal internet par 'naziya' suljha rahi hai baal internet par sas hain aamada-e-dast-o-gareban in dinon ghibaten min-jaanib-e-sasural internet par aaj bad-bakhti se jis khush-bakht ka shauhar hun main is ko khat likkha tha pichhle sal internet par main ne bas itna hi likha i-lowe-you aur phir us ne aage kar diya tha gal internet par ab hamare sher sunne par koi raazi nahin mil gae jis roz se qawwal internet par shukriya email ke ustad tera shukriya ban gai wo shaera is sal internet par khalid-e-irfan teri kya zarurat hai ki jab 'mir' internet par 'iqbaal' internet par