pi kar sharab bazm mein phir aaiye zara hai mai-kashi mein hosh bhi batlaiye zara yun padh rakhe hain hum ne to kitne hi faisle dil ki ibaraton ko bhi padhwaiye zara mujh sa nahin milega tumhein yar phir kahin chahen to ghum kar ye jahan aaiye zara achchhi nahin hai be-rukhi mujh se yun aap ki aa kar qarib se hi guzar jaiye zara hota kabhi habib jo banta raqib hai qismat ke rang dekhte rah jaiye zara bahar bahut hi gard hai dhoke fareb ki yun pairahan badal ke hi ghar aaiye zara bedi bane hain kuchh to yahan rasm aur riwaj yun 'git' ko qafas se nikalwaiye zara