baat itni bhi na thi ji se guzar jate hum

baat itni bhi na thi ji se guzar jate hum
ek nigah-e-ghalat-andaz se mar jate hum

ab to yun lagta hai bas gham ne jakad rakkha hai
gham na hote to bhala kab ke bikhar jate hum

dopahar bhi na dhali aur na patthar hi kate
sham hoti to kahin laut ke ghar jate hum

manzil-e-shauq hi viran padi hai kab se
warna is rah se yun khak-basar jate hum

tujh se sawan ki ghataen to nahin mangi thin
itne pyase the ki ek bund se bhar jate hum

kaisa kaisa na zamane ne tarasha hum ko
sakht patthar bhi jo hote to sanwar jate hum

dukh ke sahraon mein chikhon ne qadam rok liye
warna aankhon ke samundar mein utar jate hum

zard chehre pe tha guzri hui khushiyon ka ghubar
pyar ki bund bhi padti to nikhar jate hum

na bulate hamein mahfil to sajai hoti
lauh-e-ehsas pe dukh ban ke ubhar jate hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close