andher-nagri ke shahzado ye raat bas ek do ghaDi hai

andher-nagri ke shahzado ye raat bas ek do ghadi hai
dilon ke ghaw chamak uthe hain lahu ki naddi ubal padi hai

tum is ko qismat ki baat jaano ise muqaddar ka khel samjho
hidayaten ahmaqon se lena ye aazmaish bahut kadi hai

tumhaare qabze mein dukh hi dukh hain magar suno maut ke farishto
hamari jholi mein zindagi hai jo sab dukhon se bahut badi hai

hamari aankhon mein aankhen dalo to jaan loge ki apni bazi
zamin ki bedad se thani hai falak ki raftar se ladi hai

shahr shahr jashn ka saman hai wo maut ka raqs ho raha hai
ufuq pe aise anar chalte hain jaise barsat ki jhadi hai

lahu ko barsati hain jo aankhen ab un se shoale nikal rahe hain
hamari duniya ye lag raha hai kisi nae mod par khadi hai

tumhaari khatir na-jaane kab ki hamein to mearaj mil chuki hai
jo hum utha kar salib lae the ab tumhaare liye gadi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close