baat kahne ke liye baat banai na gai hum se baraat farebon ki sajai na gai aaj bhi dar ke takhte se sada aati hai haq ki aawaz sitamgar se dabai na gai dost karte hain hasad is liye teri taswir ma-siwa dil ke kahin aur sajai na gai gham ki taswir banane ko main jab bhi baitha un ki muskan ubhar aai banai na gai nai tahzib ke khakon ko sanwara hum ne hum se akhlaq ki taswir banai na gai jaane kya sujhi meri qabr par aa kar un se gul chadhae na gae shama jalai na gai main to baat aai gai kar ke chala aaya tha ho gai baat parai wo dabai na gai us ne hangamon se bahlai hai apni duniya waqt se amn ki shahnai bajai na gai 'charkh' dekhe jo jawani ke ubharte jalwe zindagi apni gunahon se bachai na gai