aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai dil ko taqsir ki targhib tamasha kya hai unhen jab ghaur se dekha to na dekha un ko maqsad us parde ka ek dida-e-bina kya hai hum shahadat ka junun sar mein liye phirte hain hum mujahid hain hamein maut ka khatka kya hai udta phirta hun main sahra mein bagule ki tarah kuchh nahin ilm mera malja-o-mawa kya hai mera mansha hai ki duniya se kinara kar lun ai gham-e-dost bata tera irada kya hai baat pur-pech hansi lab pe shikan mathe par dil samajhne se hai qasir ye muamma kya hai jo teri zulf pe ja kar na khile phul wo kya jo na uljhe tere daman se wo kanta kya hai ek khilta hua gulshan hai tumhaara paikar tum tabassum hi tabassum ho tumhaara kya hai main ne ek baat jo puchhi to bigad kar bole bad-gumani ke siwa aap ne sikha kya hai wo faqiron ko nawazen na nawazen ai 'charkh' hum dua de ke chale aaenge apna kya hai