baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat kya bari baat hai rah jao yahin raat ki raat zarre afshan ke nahin kirmak-e-shab-tab se kam hai wo zulf-e-araq-alud ki barsat ki raat zahid us zulf phans jae to itna puchhun kahiye kis tarah kati qibla-e-hajat ki raat sham se subh talak chalte hain jam-e-mai-e-aish khub hoti hai basar ahl-e-kharabaat ki raat wasl chaha shab-e-mearaj to ye uzr kiya hai ye allah o payambar ki mulaqat ki raat hum musafir hain ye duniya hai haqiqat mein sara hai tawaqquf hamein is ja to faqat raat ki raat chal ke ab so raho baaten na banao sahib wasl ki shab hai nahin harf-e-hikayat ki raat lailatul-qadr hai waslat ki dua mang 'amir' is se behtar hai kahan koi munajat ki raat