kabhi dekho to maujon ka tadapna kaisa lagta hai ye dariya itna pani pi ke pyasa kaisa lagta hai hum us se thodi duri par hamesha ruk se jate hain na jaane us se milne ka irada kaisa lagta hai main dhire dhire un ka dushman-e-jaan banta jata hun wo aankhen kitni qatil hain wo chehra kaisa lagta hai zawal-e-jism ko dekho to kuchh ehsas ho is ka bikharta zarra zarra koi sahra kaisa lagta hai falak par udte jate baadalon ko dekhta hun main hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai