baat kuchh hosh ki nahin malum wajh-e-diwangi nahin malum ye zamana hai gosh-bar-awaz kis ne aawaz di nahin malum apni manzil pe aa gaya hun magar kis ne ki rahbari nahin malum uf wo un ka tasawwur-e-rangin kab sahar ho gai nahin malum ishq ki be-khudi samajhta hun husn ki be-rukhi nahin malum zist ke pech-o-kham se waqif hun zulf ki barhami nahin malum main andheron mein kho gaya hun 'muhib' hai kahan raushni nahin malum