aah paband-e-asar ho ye zaruri to nahin

aah paband-e-asar ho ye zaruri to nahin
sham-e-gham teri sahar ho ye zaruri to nahin

sar ko takrana to hai josh-e-junun ki fitrat
is se diwar mein dar ho ye zaruri to nahin

aadmi aaya hai duniya mein musafir ban kar
chand hi hadd-e-safar ho ye zaruri to nahin

ashk-e-gham pi ke jo har lab ko tabassum de de
har bashar aisa bashar ho ye zaruri to nahin

dubte dekhe hain sahil pe safine aksar
gharq hone ko bhanwar ho ye zaruri to nahin

ab to rahbar ki bhi niyyat hamein chaunkati hai
sirf rahzan hi ka dar ho ye zaruri to nahin

ek diwana hun baitha hun sar-e-rah 'muhib'
un ka aana bhi idhar ho ye zaruri to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close