baat kya hai wo tajalli ba-sar-e-tur nahin ishq majbur sahi husn to majbur nahin jis mein marzi ho teri apni raza bhi hai wahi khud-parasti ho mohabbat ka ye dastur nahin nigah-e-chashm-e-karam kar-e-rafu karti hai yan durusti dil-e-sad-chaak ki manzur nahin ab kise saghar-e-mai aa ke pilae saqi nazr-e-sar dene ko sarmad nahin mansur nahin pas-e-sayyaad ne roka hai ba-mushkil warna tan hai paband-e-qafas nala to majbur nahin qahr se tere ziyaada hai inayat teri bakhsh de 'nur' ko rahmat se ye kuchh dur nahin