bahut nichi lagin unchaiyan bhi samundar se gain gahraiyan bhi kabhi hangame bhi achchhe lage hain kabhi achchhi lagin tanhaiyan bhi bhari dopahr mein chalna kathin hai simat kar rah gain parchhaiyan bhi kahin jashn-e-tarab matam-kada hai kahin girya-kunan tanhaiyan bhi nikhar kar ek karishma ho gai hain tumhaare husn ki ranaiyan bhi koi suraj nikalta kyon nahin hai sahar leti nahin angdaiyan bhi