baat mein kuchh magar bayan mein kuchh rang badla har ek aan mein kuchh yun hi qaem nahin hai ye duniya log achchhe hain is jahan mein kuchh marsiya ho gaya charaghon ka jab bhi likkha hawa ki shan mein kuchh qatl hone hain sab ke sab kirdar mod aise hain dastan mein kuchh us ko dekha mili palak se palak jaan si aa gai hai jaan mein kuchh sirf lutf-e-safar ki baat nahin ab maza bhi kahan thakan mein kuchh sab samajhta hai apne matlab ki koi bole kisi zaban mein kuchh kya bharosa hai us ka ai 'faruq' aan mein kuchh hai aur aan mein kuchh