ab ehtiram hi kahiye use ki dar ke gae tere dayar mein sare sawar utar ke gae hai barg-o-bar ka girna to qarz mausam ka hawa-e-tund parinde kahan shajar ke gae ho shahr shahr khamoshi ka kuchh sabab shayad magar wo shor-o-shaghab bhi to bahr-o-bar ke gae meri hi jaan ke dushman hain shahkar mere mere khilaf karishme mere hunar ke gae har ek sawal ka dete hain saf saf jawab wo kya gae ki bahane agar magar ke gae kisi ke hath mein patthar kahan wo sahn mein ped hamare ahd se mausam shajar hajar ke gae hamein bhi kucha-e-qatil ka tha chalan malum isi liye to gali mein teri sanwar ke gae to apne chaak-e-gareban ka aa gaya hai khayal tamasha dekhne jab log idhar-udhar ke gae na ishq hai wo na ghaalib na aastan na wafa usi ke sath hi qisse bhi sang-o-sar ke gae safar mein der talak ham-safar tha ghar faruq nazar mein dur talak aks baam-o-dar ke gae