baat nikli to meri zat par aa kar Thahri

baat nikli to meri zat par aa kar thahri
zat se nikli to auqat par aa kar thahri

apne haq mein kabhi isbaat nahin de paya
be-gunahi meri is baat par aa kar thahri

jab bhi utthi kabhi chehron ke liye meri nazar
har dafa sirf hijabaat par aa kar thahri

wo jo ek baat ki jis par na kabhi main thahra
sab ki har baat usi baat par aa kar thahri

mukhtasar hi rahi chahat ki baghawat mujh mein
jab bhi sarkash hui haalat par aa kar thahri

is shanasai ko kaise main shanasai kahun
har mulaqat mulaqat par aa kar thahri

kuchh adhure se jawabaat ki nadani se
meri hasti hi sawalat par aa kar thahri

sari duniya mein ujalon ki munadi kar ke
aaj phir ek sahar raat par aa kar thahri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close