nae safar ka jo elan bhi nahin hota to zinda rahne ka arman bhi nahin hota tamam phul wahi log tod lete hain wo jin ke kamron mein gul-dan bhi nahin hota khamoshi odh ke soi hain masjiden sari kisi ki maut ka elan bhi nahin hota waba ne kash hamein bhi bula liya hota to hum pe maut ka ehsan bhi nahin hota