baat ruk ruk kar badhi phir hichkiyon mein aa gai phone par jo ho na pai chitthiyon mein aa gai subh do khamoshiyon ko chae pite dekh kar gunguni si dhup utri pyaliyon mein aa gai train ojhal ho gai ek hath hilta rah gaya waqt rukhsat ki udasi chudiyon mein aa gai adh-khili rakhi rahi yun hi wo nowel god mein uth ke pannon se kahani siskiyon mein aa gai chaar din hone ko aae kal ek aaya nahin chuppi mobile ki ab bechainiyon mein aa gai bat jo hai thak gai chhat par khadi jab dopahar sham ki chadar lapete khidkiyon mein aa gai raat ne yaadon ki machis se nikali tiliyan aur ek cigarette sulgi ungliyon mein aa gai