baat saqi ki na tali jaegi kar ke tauba tod dali jaegi wo sanwarte hain mujhe is ki hai fikr aarzu kis ki nikali jaegi dil liya pahli nazar mein aap ne ab ada koi na khali jaegi aate aate aaega un ko khayal jate jate be-khayali jaegi kya kahun dil todte hain kis liye aarzu shayad nikali jaegi garmi-e-nazzara-bazi ka hai shauq bagh se nargis nikali jaegi dekhte hain ghaur se meri shabih shayad us mein jaan dali jaegi ai tamanna tujh ko ro lun sham-e-wasl aaj tu dil se nikali jaegi fasl-e-gul aai junun uchhla 'jalil' ab tabiat kuchh sambhaali jaegi