meri basti mein jo suraj kabhi utra hota main badan hota tera to mera saya hota kis ki be-mehr ada se hamein shikwa hota hum kisi ke na hue kaun hamara hota jaan par khel ke main rah-e-wafa tai karta us ki jaanib se magar kuchh to ishaara hota dil ka ehsan hai jo bujh gaya khud hi warna jaane main kis ko kahan dhundne nikla hota us ko pane ki to hasrat hai use pa kar bhi kis ko malum hai dil yun hi akela hota dur se khinchta rahta hai jo taswir meri kash us ne kabhi nazdik se dekha hota sun ke yaron ke alam sochta rahta hun ki main kaise jita jo tera pyar bhi jhuta hota mere aibon mein hai shamil meri majburi bhi main bhi insan na hota to farishta hota tum na aae kabhi nazdik to achchha hi kya log nadan hain yunhi shahr mein charcha hota duniya-dari mein pade hote jo tum bhi 'anjum' dil bhi khush rahta sada nam bhi uncha hota