baat se baat ki gahrai chali jati hai jhut aa jae to sachchai chali jati hai raat bhar jagte rahne ka amal thik nahin chand ke ishq mein binai chali jati hai main ne is shahr ko dekha bhi nahin ji bhar ke aur tabiat hai ki ghabrai chali jati hai kuchh dinon ke liye manzar se agar hat jao zindagi bhar ki shanasai chali jati hai pyar ke git hawaon mein sune jate hain daf bajati hui ruswai chali jati hai chhap se girti hai koi chiz ruke pani mein dur tak phatti hui kai chali jati hai mast karti hai mujhe apne lahu ki khushbu zakhm sab khol ke purwai chali jati hai dar o diwar pe chehre se ubhar aate hain jism banti hui tanhai chali jati hai