baat zid ki hai sawal aaina-khane ka nahin tum bulaoge bhi mujh ko to main aane ka nahin qarz ki shakl mein har sans ada hoti hai zindagi hai ye koi khwab diwane ka nahin waqt ke jabr se mahfuz na rah paoge hausla tum mein agar zarb lagane ka nahin lutne wale mujhe tu bhi pasheman hoga ghar ka takhmina hai naqsha ye khazane ka nahin waqt mashuq nahin hai ki mana loge ise ruth jaega to phir laut ke aane ka nahin ghar pe aae hue mehman se munh pherte ho ye tariqa to sharifon ke gharane ka nahin in hawaon ki ianat bhi zaruri hai 'shakil' masala sirf charaghon ko jalane ka nahin