bahi-khwahon ka mansuba mukammal ho gaya hota jo main bahra nahin hota to pagal ho gaya hota bhala ho dushmanon ka jo mujhe sargarm rakhte hain na hote ye to main guzra hua kal ho gaya hota ana ne dur rakkha dosti ke faiz se us ko gale mil leta wo badh kar to sandal ho gaya hota sanbhaala zindagi bhar ai ghazal tere taqaddus ko na hote hum to maila tera aanchal ho gaya hota 'shakil' ehsas ki daulat agar mujh ko nahin milti main apni zat mein kab ka muqaffal ho gaya hota