baaten to kuchh aisi hain ki khud se bhi na ki jaen socha hai khamoshi se har ek zahr ko pi jaen apna to nahin koi wahan puchhne wala us bazm mein jaana hai jinhen ab to wahi jaen ab tujh se hamein koi talluq nahin rakhna achchha ho ki dil se teri yaaden bhi chali jaen ek umr uthae hain sitam ghair ke hum ne apnon ki to ek pal bhi jafaen na sahi jaen 'jalib' gham-e-dauran ho ki yaad-e-rukh-e-jaanan tanha mujhe rahne den mere dil se sabhi jaen