kabhi pyara koi manzar lagega badalne mein use dam bhar lagega nahin ho tum to ghar jangal lage hai jo tum ho sath jangal ghar lagega abhi hai raat baqi wahshaton ki abhi jaoge ghar to dar lagega kabhi patthar padenge sar ke upar kabhi patthar ke upar sar lagega dar o diwar ke badlenge chehre khud apna ghar paraya ghar lagega chalenge panw us kuche ki jaanib magar ilzam sab dil par lagega hum apne dil ki babat kya bataen kabhi masjid kabhi mandar lagega agar tum marne walon mein hoge tumhaara phul bhi patthar lagega kahan le kar chaloge sach ka parcham muqabil jhut ka lashkar lagega halaku aaj ka baghdad dekhe to us ki ruh ko bhi dar lagega zamin ko aur uncha mat uthao zamin ka aasman se sar lagega jo achchhe kaam honge un se honge bura har kaam apne sar lagega sajate ho badan bekar 'jawed' tamasha ruh ke andar lagega