baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge

baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge
lekin ye manazir bhi tah-e-ab khulenge

diwar nahin parda-e-fan band-e-qaba hai
ek jumbish-e-angusht ki mahtab khulenge

kuchh nok-palak aur tahayyur ki sanwar jae
har jumbish-e-mizhgan mein nae bab khulenge

aaina-dar-aina khulega chaman-e-aks
tabir ke dar khwab pas-e-khwab khulenge

ho jaenge jab gharq sadaon ke safine
sunte hain khamoshi ke ye girdab khulenge

kya un se samaat bhi guzar paegi ai 'saz'
wo dar jo tah-e-jumbish-e-mizrab khulenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close