khuda ko aazmana chahta hun main ye duniya jalana chahta hun kisi shair se us ki zindagi ke main sare gham churana chahta hun main ruh-e-'jaun' ko jannat mein ja kar gale kas kar lagana chahta hun teri chhat par tange sab pairahan se teri khushbu churana chahta hun faqat madhosh ho kar kya maza hai main pi kar ladkhadana chahta hun ghadi ke kanton ko ulta ghuma kar samay ko main bachana chahta hun shajar ko kat kar main khub roya main apna ghar banana chahta hun nae hathon mein main pustak thama kar sabhi sarhad mitana chahta hun use kah kar ki ab bhi hai mohabbat main us ka dil dukhana chahta hun kisi masum bachche ki tarah main khuda ko sab batana chahta hun