baaton ko meri chhoDiye jo aapko jachi nahin

baaton ko meri chhodiye jo aap ko jachi nahin
lekin ye dil se puchhiye kya dil bhi qimti nahin

aadat buri to jaegi ek din to jaegi nahin
wo aadmi bura nahin fitrat agar buri nahin

gulshan ke phul phul mein kis ki mahak hai ye bata
nazron se tu chhupa magar khushbu teri chhupi nahin

tu ne nazar jo pher li saqi ye tera zarf hai
lekin khuda ka shukr hai saghar mera tahi nahin

kis ne udai baat wo kyunkar udai sochiye
jo baat mere aap ke wahm-o-guman mein thi nahin

socho mariz-e-ishq ka us waqt haal kya hua
jab chaaragar ne ye kaha ummid-e-zindagi nahin

tarikh ka waraq waraq shahid hai is usul ka
jab tak na jage aadmi qismat bhi jagti nahin

chalne diya na do qadam manzil qarib aa gai
bakht-e-rasa ki baat hai 'mukhlis' hansi hui nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close