koi raste ka patthar ban gaya hai

koi raste ka patthar ban gaya hai
bichhadna hi muqaddar ban gaya hai

jahan bichhde the hum ek bar mil ke
kisi ka us jagah ghar ban gaya hai

use karna thi beti ki hifazat
sipahi se wo lashkar ban gaya hai

mere dil ne bahut jhele hain sadme
ab is diwar mein dar ban gaya hai

tera lahja hai zahrila kuchh itna
tera har lafz nashtar ban gaya hai

rawani aansuon ki kah rahi hai
jo dariya tha samundar ban gaya hai

yahan footpath par gaz bhar ka raqba
kisi muflis ka bistar ban gaya hai

tere rukhsar par jis waqt dhalka
wo ek aansu bhi gauhar ban gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close