baaton mein dhundte hain wo pahlu malal ka matlab ye hai ki zikr na aae visal ka kya zikr un se kijiye dil ke malal ka hai khamushi jawab mere har sawal ka ta umr phir na talib-e-jalwa hue kalim dekha jo ek bar karishma jamal ka rukh par padi hui hai naqab-e-shua-e-husn mauqa nazar ko khak mile dekh-bhaal ka hum na-murad-e-ishq wo hijran-nasib hain dekha na hum ne munh kabhi sham-e-visal ka bud-o-nabud kahte hain ahl-e-jahan jise adna sa shoabada hai tilism-e-khayal ka