baaton se sitamgar mujhe bahlata raha wo milne mein to har bar hi apnon sa laga wo kya kya meri khwahish ke mazaq us ne udae kya kya nahin deta raha jine ki saza wo jab bhi kabhi us ne mujhe maqtal mein sajaya mujh ko to bas apna hi taraf-dar laga wo jis ne bhi mera sath diya rah-e-wafa mein ek shakhs ki dahshat se mujhe chhod gaya wo aisa kabhi dekha na suna jaur ka khugar har bar jafa kar ke bhi hota tha khafa wo karta tha murawwat mein kabhi mashq-e-sitam bhi kahta tha mere khun ko kabhi rang-e-hina wo