aaj diwane ko be-wajh sataya jae phul taza koi baalon mein lagaya jae main sar-e-am padhun koi ghazal logon mein un ki jaanib hi faqat mera ishaara jae pas hain wo dil-e-bimar dua-go hai ajab dard jae na mera na hi masiha jae faisla hasb-e-tabiat ye mohabbat ne kiya ek tarah gham ho salamat gham-e-duniya jae rok len aaj to shahin-e-bulandi-e-khayal aaj 'sarwar' ke paron ko chalo katra jae