bab-e-dil jab bhi wa hua apna us mein nuqsan hi hua apna koi dil wala aa mile mujh se dar hai rakkha khula hua apna naqsh-e-pa sabt hain luteron ke ghar se ghaeb hai rahnuma apna lut gaya sab hisab kya hoga ghair ka kya tha aur kya apna manzilon ka nishan kahlae khun ugla hai naqsh-e-pa apna dil ko taka tha ai 'asar' main ne kya nishana hua khata apna