bimar-e-gham hun kar-e-masiha kare koi dard-e-dil-o-jigar ka mudawa kare koi zauq-e-nazar 'kalim' ka paida kare koi phir did-e-husn-e-yar ka dawa kare koi milta nahin wafa ka wafa se kahin jawab phir khak doston pe bharosa kare koi pas-e-haya nahin unhen josh-e-shabab mein un ki bhi aarzu hai ki dekha kare koi dekha jo mahw-e-husn to bole ba-sad-itab mujh ko na is nigah se dekha kare koi jab dushman-e-wafa tumhein 'aslam' samajh chuka phir kyon wafa ki tum se tamanna kare koi