bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise gum-shuda bete ki muztar koi man ho jaise us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise guftugu mein wo halawat wo amal mein ikhlas us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise us ke aate hi sanam-khanon ke but bol uthe mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise yun teri zulf ki khushbu hai sar-e-sham udi kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise