chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat utri thi ek pari liye apne paron mein raat din to shikam ki aag bujhane mein jae hai shukr-e-khuda ki katti hai danishwaron mein raat thi wajh-e-khwab kal yahi taskin-e-qalb bhi hum ko to ab darane lagi zalzalon mein raat har sahab-e-kamal hai fan ke uruj par qibla-numa rahi hai sabhi hadson mein raat aankhon mein un ka husn tha sota main kis tarah aai thi garche ghar mere kitne dinon mein raat aawargi ki chhap wo aai thi chhodne sharminda ho ke laut gai dil-jalon mein raat kuchh der haw-hu ka tha manzar shabab par din ki thaki thi so hi gai mandiron mein raat hum the ki gharq-e-jam rahe mai-kashon ke bich hum ko talash karti rahi aabidon mein raat jugnu chamak rahe the ujale mein ishq ke 'daem' qayam karti kahan buz-dilon mein raat