bab-e-tilism-e-hosh-ruba mil gaya mujhe main khud ko dhundta tha khuda mil gaya mujhe jaana ki reg-zar ke sine pe zakhm hain saya jo raste mein pada mil gaya mujhe viraniyon se us ne mera haal sun liya tanhaiyon se us ka pata mil gaya mujhe shohrat ke aasaman par udne laga tha main raste mein aagahi ka khala mil gaya mujhe duniya to mujh ko chhod ke aage nikal gai khwabon ka ek jazira-numa mil gaya mujhe gumrahiyon pe fakhr ki manzil ke pas hi ek sang-e-mil hansta hua mil gaya mujhe jannat mere khayal ki mismar ho gai bad-qismati se zehn-e-rasa mil gaya mujhe