babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne

babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne
jala diya gulab ko chaman ki sard aah ne

sitam-zarif yun adalaton mein chup khade hain sab
ki jaise si liye hon lab subut ne gawah ne

kisi ko khas manzilon ka shauq aam kar gaya
kisi ko khas kar diya hai aam shahrah ne

nigah-e-be-zaban ne gira diya zamin par
chadha diya hai dar par zaban-e-be-nigah ne

wahi nagine pattharon ke dam bik rahe hain ab
kabhi jo taj mein laga rakhe the tere shah ne

main aakhiri ghazal suna ke uth raha tha bazm se
ki mud phir bana diya kisi ki wah wah ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close