be-karani thi pas-e-bab-e-muqaffal qaid tha ishq ka mara kisi gham mein musalsal qaid tha wo harim-e-dil se bahar tha magar us ka khayal dil ke andar hi kisi khane mein bekal qaid tha aakhirash us ko bhi ab suli pe latkaya gaya zindagi bhar jo pas-e-diwar-e-maqtal qaid tha misl-e-barkash zindagi jita tha raha durr-e-yatim wo rihai ke dinon mein bhi mukammal qaid tha ek pal bas ek pal dekha tha us mahtab ko aankh ke parde mein bas wo ek hi pal qaid tha