bach ke wo nikalte hain jin se ru-shanasi hai

bach ke wo nikalte hain jin se ru-shanasi hai
zindagi hamari to ab ajal-numa si hai

jazb ho gai dil ki be-kali fazaon mein
is taraf hai sannata us taraf udasi hai

dilkashi ghazab ki hai husn-e-sada-kari mein
kis ke dast-e-rangin ne phul ki qaba si hai

khushki-e-lab-e-sahil kah rahi hai pyason se
kya bisat-e-dariya khud us ki ruh pyasi hai

is qadar pada pani khet jal gaya sara
abr ki tabiat bhi barq-e-shoala-za si hai

ruh-e-khud-shanasi hai aadmi ki khuddari
khud-shanasi-e-insan asl-e-haq-shanasi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close