chhup-chhup ke phir nigah-e-karam kar raha hai kaun aankhon mein ashk baad-e-sitam bhar raha hai kaun marna rah-e-wafa mein hai khud mustaqil hayat marne ki aarzu thi magar mar raha hai kaun manzil pe aa ke khud mujhe hona pada tabah mahw-e-nazar farebi-e-rahbar raha hai kaun achchha hua jo shahr-e-tamanna ujad gaya khud is dayar-e-shauq mein aa kar raha hai kaun 'jarrar' har qadam pe mile hain sukhan-farosh is daur-e-khud-gharaz mein sukhnawar raha hai kaun