bacha kar shahr se sar aa gaya hun main bhar kar jeb mein dar aa gaya hun nahin malum wahshat hai ki dahshat kuen se pyas bhar kar aa gaya hun kamata kya musalsal hijraton mein bachaya ye hai ki ghar aa gaya hun gali mein bhunkte kutton ke dar se tujhe dekhe bina ghar aa gaya hun yahan 'ausaf' dariya bhi hai pyasa ghade mein ret bhar kar aa gaya hun