bas mohabbat mein tera hijr kamaya hua hai aur is hijr ko aangan mein ugaya hua hai tu jise dasht samajhta hai ye ab dasht nahin main ne is dasht mein ek shahr basaya hua hai ye jo ek raushni pahlu se mere phutti hai ye wahi zakhm hai jo tu ne lagaya hua hai aankh suraj se milate hue katraata hun main ne aankhon mein koi chand basaya hua hai ruthna bhi nahin aata na manana tujh ko pyar ko tu ne tamasha sa banaya hua hai wo mohabbat ka wo git sunata hai mujhe main ne 'ausaf' jo logon ko sikhaya hua hai