bachche bhi ab dekh ke us ko hanste hain us ke munh par rang birange sae hain jalti aankhen le kar bhi itraata hun sab ke sapne mere apne sapne hain mera badan hai kitni ruhon ka maskan meri jabin par kitne katbe likkhe hain jab se kisi ne bich mein rakh di hai talwar ham-sae bhi ham-sae se darte hain shahri bhanwre se kahna ai baad-e-saba nim ke patte ganw mein ab bhi kadwe hain ek zara si thes lagi aur tut gae dil ke rishte kitne nazuk hote hain kis ko dikhaun apni nazar se tera rup tere bhi to ek nahin sau chehre hain