bachpan ki yaadon ko bhulae ek zamana bit gaya hum ko des se bahar aae ek zamana bit gaya galiyon aur bazaron mein main mara mara phirta hun khushiyon ki ek bazm sajae ek zamana bit gaya meri taraf bhi chashm-e-karam ahbab kabhi farmaenge un se ye ummid lagae ek zamana bit gaya kis ko khabar kab puri hogi khwabon ki tabir mere nindon ko palkon pe sajae ek zamana bit gaya is duniya mein apne parae ki hai 'sahar' pahchan kise mahfil-e-jaan mein mujh ko aae ek zamana bit gaya