kuchh naya kaam nae taur se karne ke liye log mauqa hi nahin dete sudharne ke liye jao ja kar ke gharibon ke dilon mein jhanko kitni bechain tamannaen hain marne ke liye us pe marte ho to phir duniya ki parwa kaisi ishq hota hai miyan had se guzarne ke liye koi aasani se fankar nahin banta hai muddaten chahiye ek fan ko nikharne ke liye munh utha kar ke phir aai hai ye tauba tauba shab judai ki mere ghar mein thaharne ke liye kisi doshiza ki zulfen ye nahin qismat hai waqt lagta hai bahut us ko sanwarne ke liye aaj is baat ka ehsas hua hai mujh ko khwab 'mohsin' the mere sirf bikharne ke liye