bachpan tha wo hamara ya jhonka bahaar ka laut aae kash phir wo zamana bahaar ka khidki mein ek gulab mahakta tha samne barson se band hai wo daricha bahaar ka kaliyon ka husn gul ki mahak titliyon ka raqs hai yaad mujh ko aaj bhi chehra bahaar ka arsa guzar gaya pa lage kal ki baat ho us bagh-e-husn mein mera darja bahaar ka daur-e-khizan mein dil ke bahalne ka hai sabab aankhon mein meri qaid nazara bahaar ka kaliyan ko baghban hi masalta hai jab kabhi rota hai zar zar kaleja bahaar ka marzi pe gulsitan ki bhala kab hai munhasir aana bahaar ka ya na aana bahaar ka