hawadisat zaruri hain zindagi ke liye ki mod hote hain har rah har gali ke liye na koi mere liye hai na main kisi ke liye bas ek lafz-e-nadamat hun zindagi ke liye wo titliyon ki tarah mujh se aur dur hua badhaya jis ki taraf hath dosti ke liye ye uzw uzw mera pyas se sulagta hai mujhe lahu ki zarurat hai tishnagi ke liye ab is se badh ke mera imtihan kya hoga main zahr pi ke jiya hun teri khushi ke liye jo ho sake to khud ashkon ko ponchh lo 'ibrat' kisi ke pas kahan waqt dil-dahi ke liye