bad-dili mein be-qarari ko qarar aaya to kya pa-piyaada ho ke koi shahsawar aaya to kya zindagi ki dhup mein murjha gaya mera shabab ab bahaar aai to kya abr-e-bahaar aaya to kya mere tewar bujh gae meri nigahen jal gai ab koi aaina-ru aaina-dar aaya to kya ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par e'tibar ab tumhein jaanana pe jab e'tibar aaya to kya ab mujhe khud apni bahon par nahin hai ikhtiyar hath phailae koi be-ikhtiyar aaya to kya wo to ab bhi khwab hai bedar binai ka khwab zindagi mein khwab mein us ke guzar aaya to kya hum yahan hain be-gunah so hum mein se 'jaun-elia' koi jit aaya yahan aur koi haar aaya to kya