sharab KHun-e-jigar hai hum ko sharab hum le ke kya karenge

sharab khun-e-jigar hai hum ko sharab hum le ke kya karenge
gazak ki ja hai dil-e-birishta kabab hum le ke kya karenge

hazar parde mein tum chhupao pa husn chhupta nahin meri jaan
tumhaare aariz ye kah rahe hain naqab hum le ke kya karenge

hamare naqd-e-dil-o-jigar ko hisab ke baad pher denge
hisab lene ka un se hasil hisab hum le ke kya karenge

hamein jo bheja hai tum ne mushaf to yar harf-ashna nahin hum
dikhao apna rukh-e-kitabi kitab hum le ke kya karenge

buton ki ulfat se baz aaen magar jo dil man jae waiz
azab mein jaan pad gai hai sawab hum le ke kya karenge

jo mana karta hai dil na denge buton ko naseh magar khudara
bata de tu hi ki is tarah ka azab hum le ke kya karenge

khuda ki bakhshi hui hai waqat 'asar' nahin koi aisi neamat
mili hai jab izzat-e-siyaadat khitab hum le ke kya karenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close